Dosto kiya ap google dialer se parishan hai ? Serf ap nehi isse mai bi parishan tha aur alhir iska solution nikal hy liya. Google Dialer ka jo look hai aur iska call recording function kisko pasand nehi hai fir bi koi ise remove nehi kar sakta hai . Is trick ko apne device mai workable banane ke liye bas apko kuch apps insatall karna hai, aur kripiya jo mai steps bataunga bas use hai follow kare.
Bas ho gaya apka kam ab jab bi Call karenge apko Realme dialer dikhe ga pr uske pehle google dialer ayega, google dialer aye toh apko simply back karna hai, back karenge toh google dialer ayega
Agar ap realme dialer ko insatall karna cahte hai to ap is 3 apps ko pehle download kare
In 3 apps ko download karne ke bad sabse pehle Message app ko insatall kare uske bad Contact and Phone app ko insatall kare.
Ab sabse pehle message ko open karke Agree karke sare permissions de
Aur uske bad contact ko open karke bi agree karke sare permissions de
Sare apps ko open karke permission dene ke bad
Settings mai jaiye
Settings mai jake App Management Option ko select kare
- Uske bad Default Apps pr click kare
- Phir Phone app par click kare
- Idar Contacts ko select kare
Disclaimer
In 3 app ko insatall karne ke bad apke phone mai realme dialer active ho jayega pr jo pehle se google dialer tha ap usko hata nehi sakte hai.
Agar ap kisi bi tarke se google dialer ko uninstall karte hai to apke phone mai caller screen nehi ayenge.